Hussain A.S Haye Hussain Pukari Zainab

Pukari Zainab E Muztar Hussain Haye Hussain

Kahan Se Laaoon Bara Ghar Hussain Haye Hussain

Tumhare baad to ab jab bhi shaam aati hay
saron ko darr se patak ne ke kaam aati hay
baras te rehte hay aakhon se taa sahar sab ki
lahoo baray huwe manzar

Palat ke aun o mohammad bhi ghar nahi atay
Ab umme laila ko akbar nazar nahi atay
tarap ti rehti hay qasim ki yaad me farwa
rabab kehti hay asghar

Guzar gaye hay kahi din na sabr hay na qarar
tumhe bulati hay raton ko neend may kahi baar
kabhi kabhi yahan ham sab se chup ke konay may
sakina roti hay aqsar

katay jo paani ki khatir khareeb nehr e furat
wahi to they mere bazu wahi to tay mere haath
mila huwa hay dilo jaan may zaqm ki soorat
hay jis ka naam alam par

pahar hay nokay sina do pahar hay khanjar ka
yeh shaam naiza ho jaise yeh raat hay talwar
har aik lamha hay barchi hamaray seenon par
har aik sham hay nashtar

badan tha jis me ali ka lahu rasool ka tha
jigar hasan tha seenay may dil batool ka tha
woh jism chor kay ayi hun taptay sehra may
woh sir hay nokay sina par

 

2,362 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot