Hilale Mahe Moharam Pe Pad Gayi Jo Nazar

Hilale Mahe Moharam Pe Pad Gayi Jo Nazar
to yaad aagaya zehra ke laal ka wo safar

raqam ho kis tarha phat-ta hai gham se qalbo jigar
watan se ruksate aakhir ka girgaya manzar
lipat lipat ke wo sughra ka baba se israar
mujhe bhi saath may lekar chalo shahe abraar

suna raha hoo suno dastane dardo alam
ye kiske gham may hai masroofe girya-o-matam
ye kaun tha jise rote hai is tarha se ham
bafaize shahe shaheeda karoon jawab raqam
aza ka maah isi maah ko jo kehte hai
hilal dekh ke chote bade wo rote hai
hilal dekh ke….

yazeede faasiq-o-faajir ki jab na bayyat ki
to aur bad gaya jo bugz dil may tha zaleel
samajh raha tha pase parda kya hai haq ka wali
safar ka faisla karne may kuch na dayr lagi
watan chutay to chutay hurmate madina rahe
mai hoo na hoo magar islam ka kareena rahe
mai hoo na….

mai sab batata chaloon kaun tha ye haq ka wali
hai uska naame gira aur hussain ibne ali
rajab ke maah may do din thay baaqi aur abhi
chala madine se makkay ki simt sipte nabi
wahan bhi dekh ke aba may chipe hue khanjar
libaase haajiyo may tha wo sham ka lashkar
libaase haajiyo….

hazaro dushmane jaan dar libase dost mile
baqae kaaab thi peshe nazar na kate gale
ye sochte thay ke sailaab kufr kaise talay
badalke umray may hajj ko ba dard-o-yaas chalay
abhi thay raah may koofe ki jo ye aayi khabar
ke qatl hogaye muslim wahan ni qasta jigar
ke qatl hogaye….

ye sunke tha shahe abraar ko bahot sadma
bulake hazrate abbas ko ye hukm diya
bajaaye kufa koi aur raah lo bhaiya
bala se dasht ho sehra ho jo khuda ki raza
ye kufe waale farebi hai aur jhoote hai
hamare saath may kuch bibiyan hai bache hai
hamare saath….

gharaz ke teen moharam ko nainawa pahunchay
tamaam khafile ke saath mustufa pahunchay
malaik aur ajina o aur ambiya pahunchay
hassan ke saath zehra-o-murtaza pahunchay
hussain ne rakhe karbobala may apne khadam
nidaye ghaib ye aayi ke tere saath hai hum
nidaye ghaib….

huwe thay teen shab-o-roz thi na aabo ghiza
jo aayi mahe moharam ki subhe aashura
sagheer bachon ka tha ghair haal had se siwa
buland hoti thi qaiamo se al-atash ki sada
layeen dikhate thay pani ko aur bahaate thay
nabi ki aal ko lekin nahi pilaate thay
nabi ki aal….

anees aale mohamed ka hai to royega
na chain din ko milega na shab ko soyega
ye zaad raahe haqeeqi hai kaise khoyega
ye haq hai baad may ehsaas tujko hoyega
rafeeq wo nahi jo gham may saath ko choray
khushi may saath ho lekin alam may moo moday
khushi may….

581 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot