Haye Naizy Pay Woh Zainab Ki
Haye neyzey pay woh Zainab ki, rida tak’ta raha
Shaam aa kay bhi woh har pal,,,, karbala tak’ta raha
1) Khoon rota hi raha Abid’, magar chaaron taraf
Woh Sakina terey kaanon,,, ki dawa tak’ta raha
2) Bheer thi chaaron taraf aur, Wa hijaaba ki sada
patharon ki baarishon mein,,,, raasta tak’ta raha
3) Ro kay kehti thi Sakina, tu lahu rota hay kiu
Ro kay masooma kay cheh’rey,,,, pay khuda tak’ta raha
4) Haye Ghayoor woh Syed, aur darbaar e yazeed
Kon Zainab lafz sun ker,,,, chup raha tak’ta raha
5) Woh jo ghairat ka khuda tha, woh jawaa’n saala zaeef
Woh Ali ki beytion ko,,,, bey rida tak’ta raha
6) Jab khabar aai sakina, ye jaha’n chor gaayi
Sun kay aabid mar gaya phir, phir khara tak’ta raha
7) Aaj Abid sochta hay, zeyr e khanjar du ba du
karbala mein kibriya ko,,, kibriya tak’ta raha
1,340 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot