Haye Baad-e-Rasool Ummat Nay Fatima

Haye Baad-e-Rasool Ummat Nai Fatima Ko Bohat Sataya Hay.

Us Kay Ghaar Ko Jalanay Aayei Hain, Jis Kay Ghaar Main Quran Aaya Hay.

Bharay Darbaar Main Musalmaan Nay Dono Jhutla Diye Hain Laal Us Kay
Jaanay Kaisa Salook Kaar Dala Pal May Ho Gayai Safaid Baal Us Kay
Girr Kay Bayhosh Ho Gaye Zahra, Haal Zainab Ko Jab Sunaya Hay.

Boli Fizza Issay Rulao Na Jhirkiyan Do Na Kuch Toh Sharam Karo
Dekh Jis Ko Nabhi Kharay Rehtay Us Ko Darbaar Main Khara Na Karo
Royi Jab Ladli Muhammad Ki, Sara Darbaar Muskaraya Hay.

Teri Himmat Ka Naam Hai Zainab Aur Shabbir Hai Sabar Tera
Teray Aansu Sajaad Kay Aansu, Aur Sakina Main Hai Asaar Tera
Teray Bachon Nay Bibi Teri Tarha, Zulam Seh Kay Yeh Deen Bachaya Hay.

Jo Ajar Syedan Nay Hay Paaya Kaisay Koyi Lagaiay Andaaza
Jab Musalmano Nay Kiya Humla Yun Laaga Fatima Ko Darvaza
Zakhmi Pehloon Say Paak Bibi Nay, Markay Bi Haath Na Uthaya Hay.

Na Hassan Daar Hai Koyi Mehshar Ka Aur Nah Khauf Hai Jahanum Ka
Hum Azadaron Ko To Bus Bibi Aasara Hay Bohat Teray Ghum Ka
Kasam Ghazi Ki Khush Naseeb Hay Woh, Jis Kay Dil Main Yeh Ghum Samaya Hay.

 

4,110 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot