Har Nafs Hai Ye Wird Zainab-e-Zaar

Har Nafs Hai Ye Wird Zainab-e-Zaar
ya ali ya hussain ya abbas
maut hai door, zindagi dushwaar
ya ali ya hussain ya abbas
har nafs hai….

subho jis ki azan gunji thi
bas vohi umr bhar ki poonji thi
baad-e-akbar kahan sukoon-o-qaraar
ya ali ya hussain ya abbas
har nafs hai….

zulm tha apni aakhri had par
halq-e-asghar tha teer ki zad par
arsh tharra ke reh gaya tha ek baar
ya ali ya hussain ya abbas
har nafs hai….

chaar jaanib hai shamiyon ka hujoom
aisi raunaq hai jaise eid ki dhoom
jashn-e-rusvai hai sar-e-baazar
ya ali ya hussain ya abbas
har nafs hai….

shimr ke khauf se jo ro na saki
wo sakina kabhi jo so na saki
aake zindan may soyi aakhir kaar
ya ali ya hussain ya abbas
har nafs hai….

ek bemaar ki hai ye tauqeer
tauq gardan may paon main zanjeer
wo lutay qaaflay ka hai saalar
ya ali ya hussain ya abbas
har nafs hai….

kash koi uski tanabain kas jaye
kash ye sar zameen dhas jaye
be-rida hai haram sar-e-darbar
ya ali ya hussain ya abbas
har nafs hai….

un ke seeno may ho yaqeen ki zia
shahid-e-nowhagar ki hai ye dua
aaye rauzon pa aap ke ghamqar
ya ali ya hussain ya abbas
har nafs hai….

476 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot