Hawa Ke Dosht Pe Goonji Jo Ek Nayi Sada
salaam alaik ibne rasool-e-shahe huda
khuda ka shukr ke deedaar aapka to hua
tamaam aseeron ne dekha suye dare kufa
jo laash latki hai dar par wo thartharati hai
salaam karne ki awaaz usse aati hai
tadapke naize se farkhe hussain ne ye kaha
alaikum ay watan awaarao qateele jafa
adab se abide bemaar yun hue goya
khubool kijiye muslim chacha salaam mera
suna jo hazrate muslim bine aqeel ka naam
to ek bibi lagi laash se ye karne kalaam
ki zowjaye muslim ne ye fughaan
hai mere dono laal kahan
ehwaal karo kuch unka bayaan
hai mere dono laal kahan
thay saath jo mere do dilbar
wo pidiya kiye maine haq par
jo saath tumhare thay hai kahan
hai mere dono laal kahan
ki zowjaye muslim…
mai basti basti jaa-ungi
aur dhoondke unko laa-ungi
batlaiye kuch ko unka nishaan
hai mere dono laal kahan
ki zowjaye muslim…
kab tak wo rahe zere saaya
aur kuch to taras unpar aaya
kis ghar may hai ab tak wo mehmaan
hai mere dono laal kahan
ki zowjaye muslim…
bas itna batadije waali
dunya to nahi unse khaali
kya milgayi unko jaaye amaan
hai mere dono laal kahan
ki zowjaye muslim…
di laashaye muslim ne ye sada
de sabr ki taaqat tujh ko khuda
ho jaayega tujhpar jald ayaan
hai mere dono laal kahan
ki zowjaye muslim…
koofe may anees-e-ehle haram
thay naala kuna waqt-e-matam
sunkar ye sada mehshar tha ayaan
hai mere dono laal kahan
ki zowjaye muslim…