Haaye Shaam Aagaya, Kya Maqaam Aagaya
Haaye Shaam Aagaya, Kya Maqaam Aagaya

Ahle Bayte Nabi Par Ajab Waqt Tha
Asr Ashoor Ko Qatl Sarwar Ke Baad
Aag Khaimo Mai Sheh Ke Lagaate Huwe
Ye Mala’een Se Kehta Tha Ibne Saad
Kis Ka Dar Hai Tumhe Aawo Jaldi Karo
Looto Saadat Ko Izne Aam Aagaya, Izne Aam Aagaya, Kya Maqaam

Ik Rasan Mai Bandhe Saare Chote Bharay
In Mai Bhoore Bi Thay Aur Kamsin Bi Thay
Bibiyaan Aur Baqir, Sakina Bi Thay
Kuch Ke Bazu Bandhe Aur Kuch Ke Galay
Koyi Thak Kar Jo Baita Tau Zalim Wahi
Taaziyana Liye, Kaam Kaam Aagaya, Kaam Kaam Aagaya, Kya Maqaam

Karbala Kufa Aur Raahay Kufa Ko Bi
Kab Bhulaa Paaye Ahle Haram Jeetay Ji
Raah O Darbaar O Bazaar O Zindaan Kabhi
Jis Mai Ash’aar Nai Sang Bhaari Bi Ki
Par Na Qaabo Raha Jab Issi Raah Mai
Mash’hade Muslime Tashna Kaam Aagaya, Tashna Kaam Aagaya, Kya Maqaam

Pohnche Jab Shaam Mai Lut Ke Ahle Haram
Jaan Kya Baat Thi Dil Sanbhalte Na Thay
Az Madina Tha Kufa Jo Lagtay Rahay
Zakhm Bharte Na Thay Ashq Kamte Na Thay
Boli Sajjad Se Zainab-e-Khastatan
Beta Sajjad Ye Kya Maqaam Aagaya, Kya Maqaam Aagaya. Kya Maqaam

Ro Ke Sajjad Ne Ye Kahaa Ai Phupi
Iss Se Aagaye Kahin Aur Jaana Nahi
Ab Yahi Se Rihaayi Milengi Hamay
Mera Bi Imtihaan Poora Hoga Yahi
Ham Se Bichregi Baali Sakina Jahaan
Wo Maqaam Aagaya, Haaye Shaam Aagaya, Haaye Shaam Aagaya, Kya Maqaam

Karbala Kufa Aur Shaam Mai Lutgaya
Sab Bhara Ghar Batool Aur Hasnain Ka
Chaadaray Zainab O Umme Kulsoom Se
Parda Ummat Ka Aur Deen Ka Rehgaya
Kaash Aaye Nida Jiske Thay Muntazir
Sibte Jafar Wo Zul Inteqaam Aagaya, Kya Maqaam Aagaya, Kya Maqaam

1,614 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot