Ghar Fatima Zehra Ka Ajab Shaan Ka Ghar Hai

Ghar Fatima Zehra Ka Ajab Shaan Ka Ghar Hai

Ye Wahi Ki Manzil Hai Yeh Quran Ka Ghar Hai
Islam Ka Mahoul Main Eeman Ka Ghar Hai
Momin Ki Munafiq Ki Yeh Pehchaan Ka Ghar Hai
Kuch Laug Maray Jatay Hain Is Ranj-o-Mehan Main
Is Ghar Ka Jo Darwaza Hai Masjid Ke Sehan Main

Allaha Nay Is Ghar Ko Nabooat Say Nawaza
Duniya Main Isay Deen-o-Shareeat Say Nawaza
Ismat Say Imamat Say Wilayat Say Nawaza
Har Fard Ko Quran Ki Aayat Say Nawaza
Saanchay Main Masheeat Kay Ye Afrad Dhalay Hain
Sab Chadar-e-Tatheer Kay Saaye Main Palay Hain

Ye Azam Kay Faulad Isi Ghar Mein Milaingay
Ye Noor Kay Ajsaad Isi Ghar Mein Milaingay
Jibreel Kay Ustaad Isi Ghar Mein Milaingay
Is Satha Kay Afraad Isi Ghar Mein Milaingay
Makhlookh Ki Bas Aakhri Sarhad Nazar Aaya
Jis Fard Ko Dekha Wo Muhammad Nazar Aaya

Ashab Mukarram Hain Magar Apni Jaghan Par
Ghair Apni Jaghan Lakht-e-Jigar Apni Jaghan Par
Khaar Apni Jaghan Guncha-e-Tar Apni Jaghan Par
Sang Apni Jaghan Laal-o-Gohar Apni Jaghan Par
Pehlou Main Jo Baitha Ho Usay Dil Nahi Kehtay
Rehro Ko Kabhi Rehbar-e-Manzil Nahi Kehtay

Allaha Re Izzo Sharafe Bint-e-Risalat
Qandeel-e-Haram Sham-e-Shabistan-e-Imammat
Rehmat Jo Muhammad Hain To Ye Para-e-Rehmat
Wo Kulay Nabooat Hain To Ye Juzvay Nabooat
Asaan Na Kaho Marifat-e-Khatmay Rasul Ko
Jo Juz Ko Na Samjha Ho Wo Kya Samjhayga Kul Ko

6,617 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot