Dour Talak
Dour Talak Daikhti Hay Mere Mola (as) Ki Nazar
Door Talak Balki Bohut Door Talak 
 
Bach Nahi Sakta Koi Pan Shar Door Talak 
Balki Bohut Door Talak
 
Kon Momin Kahan Munkir Hay Usay Sab Hay Khabar
Sath(7) Naslon Pay Nazar Rakhti Hay Tery Haider
Kat Daiti Hay Munafiq Ka Jigar Door Talak
Balki Bohut Door Talak
 
Laskar-e-Sham Say Hur (as) Janib Shabbir (as) Chala
Ishq Shabbir (as) Mila Haq Ko Wo Pehchan Gaya
Usko Jannat Nazar Atay Thay Ghar Door Talak
Balki Bohut Door Talak
 
Jan Main Nad-e-Ali(as) Kyon Na Payambar Padhtay
Gar Bulatay Na Ali (as) Ko To Nabi(S) Kia Kartay 
Tees Din Tak Na Mila Koi Bhi Nar Door Talak
Balki Bohut Door Talak
 
Itni Raftar Say Mosoof Wo Had Say Bhagay
Mustafa Bhagaynay Walon Ko Bulatay Hi Rahay
Shekh Sahab Na Kahin Ayy Nazar Door Talak 
Balki Bohut Door Talak
 
Jo Hay Olad Umayya Kay Namak Khuwaron Ki
Aa Nahi Sakti Kabi Saf Main Azadaron Ki 
Qu Ki Jata Hay Nawalay Ka Asar Door Talak
Balki Bohut Door Talak
 
Martaba Isko Mila Noha Gari Main Aesa
Koi Reehan Ki Khushbhu Bhi Nahi Pa Sakta
Dondnay Jain Agr Ahl-e-Hunar Door Talak
Balki Bohut Door Talak
 
Tham Lay Parcham Abbas (as) Abhi Say Aja
Hashr Main Iskay Siwa Ho Ga Na Koi Saya
Koi Mehshar Main Nahi Hoga Shajar Door Talak 
Balki Bohut Door Talak
 
Tu Jo Reehan Kia Karta Hay Zikr-e-Haider (as)
Log Lay Jatay Hain Ashaar Tere Khush Ho Kar
Aor Dohratay Hain Har Ak Satar Door Talak
Balki Bohut Door Talak
 
Daikhti Hay Mere Mola (as) Ki Nazar Door Talak
Balki Bohut Door Talak

 

934 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot