Diye The Jitne Fazail Khuda Ne Zainab Ko
Hain Itne Dard Diye Karbala Ne Zainab Ko
Jahan Bhi Naize Pe Thehra Kahin Sar e Abbas
Wahin Lagaaye Gaye Taziyaane Zainab Ko
Ali Ki Beti Ridaaein Ka Dard Bhool Gayi
Pukaara Naam Se Jab Ashkiyaa(n) Ne Zainab Ko
Tha Is Ke Haath Mein Naiza Bhi Aur Durra Bhi
Barhaa Jo Laasha e Sheh Se Uthaane Zainab Ko
Jahaa(n) Khari Thi Sharaabi Ke Saamne Zainab
Wahin Pe Dekh Rahe Hai(n) Zamaane Zainab Ko
Ali Bachaate Bachaate Jahaa(n) Batool Ruki
Ye Farz Saunp Diya Fatima Ne Zainab Ko
Sar e Hussain Uthaaya Laee(n) Ne Zulfo(n) Se
Ye Dard Bhoolega Kaise Na Jaane Zainab Ko
Batool Ban Ke Wo Bazaar Mein Giri Kayi Baar
Pare Ali Ke Bhi Badle Chukaane Zainab Ko
Ali Ki Beti Bachaati Rahi Sabhi Ko Magar
Kahin Koi Nahi Aaya Bachaane Zainab Ko
Jahaa(n) Jahaa(n) Bhi Kiya Tha Qiyaam Zainab Ne
Hain Rote Aah Bhi Wo Qaid Khaane Zainab Ko
Jo Karbala Mein Thi Me’raaj Sabr Ki Muhsin
Kiya Hai Sajda Isi Intehaa Ne Zainab Ko