Darya Behta Raha
ay waaye nehre alqama
darya behta raha
darya behta raha
saamne usi darya ke pyase tadapte hai
darya behta raha…bana jinke khaatir pani, unhi ko mila na
unhi se to seekha isne, zameen par barsna
sitam hai dikha kar inko, hai pani bahana haye
darya behta raha
saamne usi darya ke pyase tadapte hai
darya behta raha…
sawere isi darya pe, alam waala aaya
kisi tishnalab bachi ka, wo mashkeeza laaya
chidi mashk us pyase ki., wo wapas gaya na haye
darya behta raha
saamne usi darya ke pyase tadapte hai
darya behta raha…
wo jiski azan goonji thi, sawere sawere
chadha din to baba uska, usi ko sambhale
pukara hai khaaq ab dunya, tere baad beta haye
darya behta raha
saamne usi darya ke pyase tadapte hai
darya behta raha…
udhar bekafan tha bhai, behan berida thi
jalaati huwi qaimo ko, ajab shaam aayi
koi maa pukari baba, luta mera kunba haye
darya behta raha
saamne usi darya ke pyase tadapte hai
darya behta raha…
ameere arab ka beta, libaase ghareebi
rehaan aur sarwar hum na, ye bhoole kabhi bhi
wo darya ka behta pani, wo pyase ka sajda haye
darya behta raha
saamne usi darya ke pyase tadapte hai
darya behta raha…
1,821 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot