Boli Zehra (SA) Zainab (SA) Ka Yun

Boli Zehra Zainab Ka Yun Saath Nibhana
aghyaar ke majme may fizza tu rida banke
zainab ko chupana
boli zehra….

pehli manzil to karbala hai magar
saath abbas bhi wahan hoga
dard karbobala ka apni jagah
bas mujhe shaam ka hai gham fizza
khud dekh chuki hoo mai mushkil hai bahot fizza
darbaar may jaana
boli zehra….

tashnagi hadh se bad gayi hogi
rotay bacho ko wo sambhalegi
apne hissay ka aab bhi zainab
pyase bacho may baat daalegi
khud apne hi hissay se kuch pani bachakar tum
zainab ko pilaana
boli zehra….

mujhko maloom hai yateemi may
log jab rokte hai ronay se
us ghadi dil pe kya guzarti hai
mai samajhti hoo dukh sakina ke
dil khol ke baba ki mayyat pe wo roye to
mayyat se uthaana
boli zehra….

khaafila jab chalega sehra se
koi maqtal may choot jaayegi
issay pehle ke pahunchay zainab tak
shimr ke haath aayegi bachi
tab shimr ke haathon se tum meri sakina ke
baalon ko chudaana
boli zehra….

sunke binte nabi ki baaton ko
boli saqlain fizza zehra se
tumse bibi yehi guzaarish hai
jitne waade kiye hai fizza ne
mai kaise nibhaati hoo un shaam may galiyon may
tum dekhne aana
boli zehra….

1,084 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot