Bhool Na Paey Gi Zehra, Kufa Walon Ki Wafa
Door Yasrab Say Ali Ki Baiteeyan, Ho Gaeen Pardes Mei Bay Aasara
Waris-e-Tathheer Hai, Rothi Khari
Aagaee Saadaath Pay, Mushkil Ghari
Jis Ki Zarbat Nay Bachaya Deen Ko, Us Pay Hee Sajday Mei Khanjer Chal Gaya
Kis Tharha Bhoolain Humain, Maah-e-Sayaam
Ho Gaey Hum Say Juda, Haq Kai Imam
Apnay Qatil Ko Jaga Ker Aap Hee, Zarb Kha Ker Bhi Usay Sharbath Diya
Shah Bolay Aey Allamdar-e-Hussain
Aey Mere Ghazi Aey Meray Dil Ka Chayn
Ja Raha Hoon Somp Ker Tujh Ko Pisar, Zainab-o-Kulsoom Ki Sar Ki Rida
Hogaeen Barbaad Zehra Zaadian
Lut Gaeen Kaunain Ki Shehzadian
Chup Gaey Jin Kay Leeyai Shams-O-Kamar, Kaash Unka Kalma Go Kertai Haya
Baani-e-Islam Ka, Thabooth Hai
Ashk Baar Akhthar Her Aik, Malkooth Hai
Arsh Pay Shah Ki Saff-e-Matam Bichi, Ho Rahi Hai Khuld Mei Aah-o-Buka