●Betay Ky Qatilon Sy, Ekk Baap Pochta Hai
●Haye Akbar (as), Haye Akbar (as)
Betay Ky Qatilon Sy, Ekk Baap Pochta Hai
Koi Mujhay Bata De Lasha Kahan Para Hai
Akbar (as) Mera Kahan Hai
●Dil Per Meri Behan Ky Khanjar Chala Diya Hai
Kis Ny Humaray Ghar Ka Suraj Bujha Diya Hai
Din Main Andhera Meri Ankhon Main Hogaya Hai
Akbar (as) Mera Kahan Hai
●Pyasay Ko Be Watan Ko Itna To Maat Satao
Chal Chal Ky Thak Gaya Hoon Logon Mujhay Batao
Ab Aur Kitna Baqi Maqtal Ka Fasla Hai
Akbar (as) Mera Kahan Hai
●Ghazi (as) Ko Tum Ny Mara Main Chup Raha Na Bola
Akbar (as) Ko Mara Neza Main Chup Raha Na Bola
Tum Sy Sawal Karlon Itna To Haq Mera Hai
Akbar (as) Mera Kahan Hai
●Maa Ko Baighair Dekhe Beta Guzar Na Jaye
Poncha Do Mujh Ko Jaldi Mazloom Mar Na Jaye
Awaz Arahi Hai Wo Hichki Ly Raha Hai
Akbar (as) Mera Kahan Hai
●Khemay Sy Jab Chala Tha Kehti Thi Meri Behna
Pamal Ho Na Jaye Akbar (as) Ki Lash Bhaiya
Kano’on Main Meray Ab Tak Baqi Wohi Sada Hai
Akbar (as) Mera Kahan Hai
●Dil Baitha Ja Raha Hai Ruktay Nahi Hain Ansu
Jungle Sy Arahi Hai Us Ky Lahu Ki Khushboo
Kuch Sansain Chal Rahi Hain Ya Sher Chal Basa Hai
Akbar (as) Mera Kahan Hai
●Aulad e Mustafa Sy Kis Tarhan Phir Gaye Ho
Karyal Jawan Ka Marna Asan Samhaj Rahe Ho
Tum Log Hans Rahe Ho Dil Mera Ro Raha Hai
Akbar (as) Mera Kahan Hai
●Ehl e Haram Ki Akbar (as) Umeed Akhri Hai
Kehti Hai Yea Zaifi Mera Assa Yahi Hai
Ab Do Qadam Bhi Chalna Dushwar Hogaya Hai
Akbar (as) Mera Kahan Hai
●Ghurbat Hai Aur Takallum Ibn Shah e Najaf Hai
Koi Bola Is Taraf Hai Koi Bola Us Taraf Hai
Akhir Pukaray Mola Ghazi (as) Tumhain Pata Hai
Akbar (as) Mera Kahan Hai