khoon ho kar beh gaya akbar ka dil
muskura kar kar khatm asghar hogaye
behti rehi furaat
karbala ke dasht may kaisa andhera cha gaya
aagayi sham e ghariban surkh hai khaak e shifa
jal gaye qaime sare sham e aalam
kitne manzar khaakh ho kar reh gaye
behti rehi furaat….
dhal gaya dil shaam aayi shaam bhi aisi ke baad
do paher ke baad chaayi aisi tanhayi ke baad
kis tarha zehra kaa ghar loota gaya
kis tarha be sar ba-hattar ho gaye
behti rehi furaat….
aaj subhe dum ye ghar roshan bhi tha abaad bhi
sab ke waaris thay salamat bhai bhi aulaad bhi
ek hawa aisi chali pardes may
be zaban bache bhi be-sar ho gaye
behti rehi furaat….
ye hai wo sham-e-ghariban jo qayamat bangayi
dukhtar-e-zehra ke sar se jisne chadare cheenli
ya rasool allah qayamat ho gayi
daakhile qaima sitamgar ho gaye
behti rehi furaat….
ek ek katre ko tarse ban may atfaal-e-hussain
mashk zakhmi khaali kooze laash pamaal-e-hussain
reh gaya maidan may bekas ka tan
jashan may masroof lashkar ho gaye
behti rehi furaat….
marte dam pani pisar maange padar majboor hai
tu bata sham-e-ghariban al-qama kya door hai
waaye nehre al-qama behti rahi
aur pyase qatl akbar hogaye
behti rehi furaat….
hai wohi manzar wohi qaimay wohi tishna labi
aayi hai sham-e-ghariban khoon rulaane aaj bhi
gham hame rehan -o-sarwar kyun na ho
mahve matam jab payambar hogaye
behti rehi furaat….