yasrab se shahe deen jo suye karbala chale
ba hasrat o masaib o aah o buka chale
israar tha ye fatema sughra ka shah se
baba khudara saath mujhe le ke jaaiye
sunkar fughan ye fatema sughra se bole shah
bemaar hai tu sughra batlade mujhe itna le jaun tujhe kaise
aasan nahi beta raahon ki jafa sehna le jaun tujhe kaise
har gaam musibat hai raahon may aziyat hai
tu chal nahi payegi kanton pe musafat hai
tu ghar ka ujaala ay sughra tu soorate zahra ay sughra
kar sabr kar yaara ay sughra kar zapt khudara ay sughra
tu seh nahi payegi hai sakht safar beta le jaun tujhe kaise
bemaar hai tu sughra…
humko hai jahan rukna pur haal hai wo sehra
kehte hai jise karbal humko hai wahan lutna
har simt kaza hai ay sughra, na aab o ghiza hai ay sughra
karbal wo jagah hai ay sughra, bas zum o jafa hai ay sughra
is gham to behtar hai tu ghar may rahe tanha le jaun tujhe kaise
bemaar hai tu sughra…
le godh may asghar ko is nanhe musafir ko
jee bhar ke tu ay sughra ab dekh le akbar ko
ek mera guletar ay sughra, ek shakle payambar ay sughra
de ruqsat mil kar ay sughra, tayyar hai dilbar ay sughra
ye khaafila jaata hai ab jaane de karbobala le jaun tujhe kaise
bemaar hai tu sughra…
soyi ek din sughra aur khwaab may ye dekha
lut-ta hai bhara kunba shabbir huwe tanha
kehte thay tadap kar ay sughra, meri pyari dukhtar ay sughra
tu dekh ye manzar ay sughra, koi nahi yawar ay sughra
ab jaan liya tune mai isliye kehta tha le jaun tujhe kaise
bemaar hai tu sughra…
ghabrake uthi muztar nani se kaha ro kar
dekha abhi maine kehte thay yehi sarwar
ab mere galay par ay sughra, chalne ko hai khanjar ay sughra
koi nahi yawar ay sughra, maare gaye dilbar ay sughra
ye soch ke hi maine bola tha tujhe beta le jaun tujhe kaise
bemaar hai tu sughra…
shabbir ka jab kunba nana ke shehr pahuncha
farhan aur safdar ye zainab ne kaha sughra
barbaad hua ghar ay sughra, hua qatl baradar ay sughra
abbas aur akbar ay sughra, koi nahi sar par ay sughra
is waaste bhai ne bola tha tujhe beta le jaun tujhe kaise
bemaar hai tu sughra…
3,125 Views