Jab khafila pahuncha tha madine ke zara paas
maqtal may hua kya ye suna usne basad yaas
kat-ta tha jigar dil may nidamath ka tha ehsaas
har ek se ye poochti thi madar e abbas
jab gardan e shabbir pe khanjar wo rawan tha
bas itna batado mera abbas kahan tha
zehra ke pisar jane nabi sayyade wali
akbar ke kalejay se sina kaise nikali
jab khaak pe dum tod-ta laila ka jawan tha
bas itna batado….
maidan may baysheer ko jab laye thay shabbir
nanhe ali asghar ke jo gardan pe laga teer
jab baap ke hathon pe pisar tashna-dahan tha
bas itna batado….
aqa mera maidan may kyun rehgaya tanha
haa doodh na bakhshungi mai ye kya kiya beta
zehra ka pisar khaak pe jab girya kuna tha
bas itna batado….
jab bibiyan jalte huwe qaimon ke thi andar
jab zainabe dilgir ki cheeni gayi chadar
jab gardane beemar may wo tauqe giran tha
bas itna batado….
abid ko liye phirti thi jab zainab-e-muztar
jab aag lagayi gayi cheena gaya bistar
phaila huwa jab sham-e-ghariban ka dhuan tha
bas itna batado….
jab shame ghariban may bhi pyase rahe bache
jab dukhtare shabbir ke lagte thay tamache
jab uska jigar karbe yateeme se tapan tha
bas itna batado….
zainab ne kaha usko wafa ka tha bahot khwas
jab zibha huwe bhai tho zindan na thay abbas
bin haton ke tha ghairate ilyaas ka laasha
saahil pe tadapta raha abbas ka laasha
ye sun ke kiya shukr magar phir bhi hai ehsas
ab tak ye qamar poochti hai madare abbas
jab gardane shabbir pe qanjar wo rawan tha
bas itna batado….