Aye chand moharram kay tuu badli mein chala jaa
tujhay daikh kay maar jaye na beemar hai Sughra
1- Ghar Zahra ka lutnay ki khabar tuu nay sunai
tujhay daikh kay rooti hai moharram mein khudai
chodah(14) soo baras beetay sab kartay hein shikwa
2-Milnay kay liye bhai, ko baychain bari hai
kab say Ali Akbar ki yeh rahoon mein khari hai
bichri hai yeh muddat say, isay tuu na nazar aa
3- Veeran gharon mein na, usay neand hai aati
Akbar, ki judai hai, usay khoon rulati
qadmoon, kay nishan dhanp kay, baithi hai sar e rah
4- Gin gin kay jo sughra nay, yeh din hein guzaray
zinda, hai to Akbar kay, wadon kay saharay
din raa,t tarapti hai, isay or na tarpa
5- Bhaiya ki judai mein, pareshan hai rehti
har roo,z yeh nana say, roo roo kay hai kehti
Akbar, na milla nana, mein maar jaoongi tanha
6- Roonay nahee daitay mujhay ratoon, ko musalman
beema,ri say bayhaal hoon kuch roo,z ki mehman
haar sim,t say hai mujhko, ab moat nay gheera
7- Wada jo kiya behen ko seenay, say laga kay
Main shaa,di karon ga toh, teray paas hi aakay
Main saa,th(7) muharram ko, lauton ko na ghabra