aye bade saba jake ye ammu ko batana,
pyassi hai sakina
yaad aaye sakina toh chacha laut ke aana,
pyasi hai sakina
aye bade………..
is chhotey se sin me woh sitam mainey uthhaye
allah kisi ko na yateem aisa banaye
khud apney lahu me koi bachchi na nahaye
mai tumko bulati rahi, tum bhi toh na aye,
mai bann gayi baad asr laiyno ka nishana
pyasi hai…
ghar laut ke jatey hai har ek shaam parindey,
kismat me likhey hai meri zinda ke andherey,
kab tak mai jiyungi yuhi ashqo ke saharey,
lagta hai ke marr jaoongi ab dur watan se,
hoga na mayasser mujhe ghar laut ke jana,
pyasi hai..
jiss roz se asghar ko mila baba ka seena,
uss roz se ammu nahi so payi sakina,
iss haal me jaoongi mai kiss tarah madina
aa jaye mujhe maut hai kiss kaam ka jeena,
jagi hu bahut aaakey chacha mujhko sulana,
pyasi hai sakina..
paani ki talab mujhko khilati rahi thhoker,
kehta tha laiyn doonga mai faujo ko pilaker,
jab shimr-e-laiyn ker chuka serab yeh lashker,
dikhla ke mujhe phek diya paani zameen per,
tab samjhi mai kya hota hai ummeed dilana
pyasi hai..
ek jaam hua shaam-e-ghariban me mayasser,
woh kuza mai rakh ayi thi asghar ki lahad per,
tha mujhe se bhi chhota mera bhayya mera dilbar,
sharminda mai ho jati chacha pyas bujha ker,
ab apney hi haton se meri pyas bhujana,
pyasi hai
ek rassi me hum sabke gale bandh ke aada,
kertey huey tash-heer chaley janib-e-kufa,
aur us pe musibat ye thi qad mera tha chhota,
jab uthhti thi phuphiya toh gala khichta tha mera,
gardan ka meri zakhm chacha dekhney aana,
pyasi hai….
thi dil ki tamanna wahi maut aaye mujhe bhi,
turbat hai tarayi pe jahan merey chahca ki,
ek chhoti si sahil pe baney qabr bhi meri,
yeh aakhri khwahish bhi na ho payegi poori,
mar ker bhi rahega mera zinda me thhikana,
pyasi hai sakina….
anwar yeh sada percham-e-abbas se aayi,
mai bhool nahi sakta sakina meri bachchi,
kaatey gaye bazoo merey majboor tha bibi,
mashqeeza alam me hai bandha dekh le ab bhi,
percham ka merey kaam hai duniya ko batana,
pyasi hai sakina…