Ay shaam ke logon mai binte ali hoo
mai waarise tatheer hoo namoose nabi hoo
Bazaar se darbaar may le aaye ho mujhko
chahoo to jala sakti hoo khutbo se mai tumko
saabir ki behan hoo jo mai khamosh khadi hoo
ay shaam ke logon…
Afsos kaneezi may usay maang rahe ho
tum jiske ghulamo ki ghulami may rahe ho
ye zulm na hoga kabhi mai zinda abhi hoo
ay shaam ke logon…
Zindan tha to darr darr ke hamesha hi laday ho
ab sar hai to honton pe chadi maar rahe ho
tum kitne bahadur ho mai ye dekh rahi hoo
ay shaam ke logon…
Tum apne payambar ko agar dekhna chaho
naize pe jo ye sar hai isay ghaur se dekho
humshakle payambar hai ye mai iski phupi hoo
ay shaam ke logon…
Aur is se kathan waqt kya hoga mere maabood
fizza ke tarafdaar hai darbar may maujood
mai pusht pe fizza ke khadi dekh rahi hoo
ay shaam ke logon…
Zehra ko bhi darbaar may tumne tha bulaya
darbar may mai bhi hoo magar farq hai itna
parde may thi woh aur mai be-parda khadi hoo
ay shaam ke logon…
Zanjeero mai jakda jo ye bemaar khada hai
sajda isay kaabe ki faseelo ne kiya hai
mansab may bada wo hai mai rishte may badi hoo
ay shaam ke logon…
Hone lagi darbar may mushtarka azanay
rehaan idhar naam e nabi gunja fizza may
bibi ne kaha fakhr se mai jeet gayi hoo
ay shaam ke logon…