Ay Shaam Ke Logon Mein Binte Ali Hoon
Ay Shaam Ke Logon Mein Binte Ali Hoon

Mein Waris-e-Tatheer Hoon Namoos-e-Nabi Hoon

Bazaar Se Darbaar Mein Ley Aaey Ho Mujhko 
Chahoon To Jala Sakti Hoon Khutbon Se Mein Tumko
Sabir Ki Bahen Hoon Jo Mein Khamosh Khari Hoon

Afsos Kaneezi Mein Usay Maang Rahay Ho
Tum Jiskay Ghulamon Ki Ghulami Mein Rahay Ho
Yeh Zulm Na Hoga Kabhi Mein Zinda Abhi Hoon

Zinda Tha To Dar Dar Ke Hamesha Hee Laray Ho
Ab Sar Hai To Honton Pe Chari Maar Rahay Ho
Tum Kitnay Bahadur Ho Mein Yeh Dekh Rahi Hoon

Tum Apne Payambar Ko Agar Dekhna Chaho
Naizay Pe Jo Yeh Sar Hai Isay Ghor Se Dekho
Ham Shakl-e-Payamabar Hai Yeh Mein Iski Phupi Hoon

Aur Iss Se Kathan Waqt Kya Hoga Meyrai Mabood
Fizza Ke Tarafdaar Hain Darbaar Mein Mojood
Mein Pusht Pe Fizza Ke Khari Dekh Rahi Hoon

Zehra Ko Bhi Darbaar Mein Tum Ne Tha Bulaya
Darbaar Mein Mein Bhi Hoon Magar Farq Hai Itna
Parday Mein Thi Voh Aur Mein Bey Parda Khari Hoon

Zanjeeron Mein Jakra Jo Yeh Beemar Khara Hai
Sajda Isay Kaabay Ki Faseelon Ne Kiya Hai
Mansab Mein Bara Voh Hai Mein Rishtay Mein Bari Hoon

Honay Lagi Darbaar Mein Mushtar Ka Azaanein
Rehan Idhar Naam-e-Nabi Goonja Fiza Mein
Bibi Ne Kaha Fakhr Se Mein Jeet Gaee Hoon

1,834 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot