Ay Musalman Kash Socha Hota
Ay Musalman Kash Socha Hota Kay Mohammed Ka Nawasa Hai Yeh

Halat-e-Sajda Main Hai Baykaso Majboor Bhi Hai, Aur Kayee Roz Ka Pyaasa Hai Yeh.

Aqal Hairaan Thi Issay Banda Kay Rehman Kaihay
Nokay Naiza Pe Issay Bolta Quran Kaihay
Ya To Rab Hai Jokay Banday Sa Nazar Aata Hai
Ghaar Hai Insaan To Khuda Sa Hai Yeh.

Boli Zainab Zulam Shabbir Peh Dhanay Waalo
Patharon Kay Talay Mayyat Ko Chupanay Waalo
Haye Kaanday Peh Uthathey Tay Jinhay Khatmay Rasool
Meray Us Bhai Ka Laasha Hai Yeh.

Jis Ka Ghazi Na Raha Aur Ali Akbar Na Bacha
Bhai Ki Laash Pay Khulkay Jisay Ronay Na Diya
Aaj Matam Sar-e-bazaar Jo Hum Kartay Hay
Issi Zainab Ka Dilasa Hai Yeh.

Sayyedon Ka Bhara Ghaar Baar Jalaya Kyu Hai
Bibiyon Ko Sar-e-bazaar Phiraya Kyu Hai
Tunay Toh Yeh Bhi Na Socha Kay Jo Qaidi Hay Banay
Paak Zahra Ka Asasa Hai Yeh.

Main Hun Zainab Mujhe Haider Ko Samajta Kyu Hain
Sun Kay Khutba Mera Mal’oon Bigarta Kyu Hai
Boli Zainab Kay Yeh Khutba Hi Na Hi Sun Ay Yazid
Paak Quran Ka Khulasa Hai Yeh.

Saaniy-e-Zahra Ki Akhtar Yeh Ataa Hai Tujhko
Noha Likhnay Ke Liye Dard Mila Hay Tujh Ko
Teray Alfaz Mai Hai Fatima Zahra Ki Dua
Tera Andaaz Judasa Hai Yeh.

2,766 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot