Ay Musalmaa Kaash Socha Hota Ke Muhammad Ka Nawaasa Hai Ye
Haalat e Sajda Mai Hai Bekaso Mazloom Bhi Hai, Aur Kayi Roz Ka Pyasa Hai Ye
1)Akl Hairaan Ke Issay Banda Ke Rehmaan Kahein
Nok e Nezaan Pe Issay Bolta Quraan Kahein
Ya Toh Rab Hai Jo Ke Banday Sa Nazar Aata Hai
Gar Hai Insaan Toh Khuda Sah Hai Ye
2)Boli Zainab Zulm Shabeer Pe Dhaaney Waalon
Patharon Ke Talay Mayyat Ko Chupaaney Waalon
Hy Kaandhay Pe Uthaatey Thay Jissay Khatm e Rasul
Mere Os Bhai Ka Laasha Hai Ye
3)Jiska Ghazi Na Raha Aur Ali Akbar Na Bacha
Bhai Ki Laash Pe Khul Kar Jissay Ronay Na Diya
Aaj Matam Sar e Bazaar Jo Hum Karte Hain
Issi Zainab Ka Dilhaasa Hai Ye
4)Syedon Ka Bhara Gharbar Jalaya Kyun Hai
Bibiyon Ko Sar e Bazaar Phiraaya Kyun Hai
Tunay Toh Ye Bhi Na Socha Ke Jo Qaidi Hain Banay
Paak Zahra Ka Asaasa Hai Ye
665 Views