Araam Kahan x4
Kishte Aalam, Mein Zainab Ko Bhala
Qatl Shabbir Bhi Abbas Bhi Akbar Bhi Huey
Kat Gaye Aun-o-Mohammad Ke Bhi Maqtal Mein Galay
Laasha-e-Ibn Hassan Hogaya Pamaal Jafa
Koi Maara Gaya Talwaar Se Naizey Se Koi
Laash Maqtal Mein Kisi Dhoola Ki Pamaal Hui
Hogaye Baazu-e-Abbas Alamdar Juda
Sar Shaheedon Ke Sarey Nauke Sina Qaid Haram
Aik Doh Ka Nahi Seene Mein Bahattar Ka Hai Gham
Berhiyan Pehne Huey Laaghiron Beemaar Chala
Ro Ro Kehti Hai Sakina Mere Ammou Aao
Mujhko Maare Na Layeen Aake Inhey Samjao
Kyun Nahi Sunte Ho Deti Hoon Tumhe Kabse Sada
Bachey Joh Khaak Pe Girtey Hain Kuchal Jaate Hain
Gham Se Dil Maon Ke Seene Se Nikal Jaate Hain
Koi Sunta Nahi Bewaon Ki Faryad-o-Buka
Chin Gayi Sar Se Rida Jal Gaya Asbaab Tamaam
Baade Shabbir Na-Mudaar Hui Kaisi Yeh Shaam
Khoon Kaano Se Baha Bachi Ka Daaman Bhi Jala
Qaafila Jaata Hai Ab Shaam Ke Bazaaron Mein
Chalte Hain Ahle Haram Zulm Ke Angaaron Mein
Har Qadam Hoti Hai Beemaar Par Aik Taaza Jafa
Aankh Roti Hai Qalam Likhta Hai Noha Rehan
Hai Karam Mujhpe Shah-e-Karbobala Ka Rehan
Noha Jab Tak Na Likhoon Roz Shahe Deen Ka Naya