Andhera Kha Gaya Zindan Ka
Andhera kha gaya zindan ka, bali sakina ko
Rehaey mil nahi payey hai mar, kay bhi sakina ko
Koi pani ka rastay main kabhi, joo naam layta tha
Chacha ki yaad thi aati bohat, piyasi sakina ko
Diya jab bhi gaya pani tho lay, kar hichkiyan boli
Nahin peena hai pehlay bhai say, pani sakina ko
Kaha zain-ul-iba say waqt-e-, akhir yeh sakina nay
Jalay kurtay main dafnaana meray, bhai sakina ko
Ussay jo neend aati thi tho bas, baba kay seenay par
Na janay neend kaisay khak par, ayi sakina ko
Yeh keh kay ro paray ahl-e-haram, hukm-e-rehai par
Darayay gi humaray baad tan, haey sakina ko
Yeh noha qabr-e-sarwar par kiya, zainub nay ro ro kar
Bohat sharminda hoon zindaa main cho, raey sakina ko
Hai baba karbala main aur, bachi sham main ashhar
Ajab doori hai jo qismat nay dikh, laey sakina ko
800 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot