Amma Fizza Bata Day Mujhko Pathar Kyun Aa Rahay Hain
Amma Fizza Bata Day Mujhko Pathar Kyun Aa Rahay Hain
Kaisa Hai Ye Charaghaan, Dil Doobay Ja Rahay Hain, Kya Shaam Aagaya Hai
Naizon Pay Jitnay Sar Hain Ik Sar Hai Un Mei Aiesa
Ankhain Hain Band Uski Aur Khaaq Par Hai Girta
Abbas Ka Ye Sar Hai, Thayvar Bata Rahay Hain, Kya Shaam Aagaya Hai
Hain Log Kis Tarha Kay Hum Say Dua Karaeyn
Ey Qaidio Dua Do Ye Din Na Hum Pay Aaeyn
Lay Ker Dua’eyn Hum Say, Dil Bhi Dukha Rahay Hain, Kya Shaam Aagaya Hai
Maoun Ki Godiyon Say Liptay Houay Hain Bachay
Hain Haath Rasion Mei Maoun Kay Aiesay Jakray
Bachay Jo Gir Rahay Hain, Wo Martay Ja Rahay Hain, Kya Shaam Aagaya Hai
Honay Lagi Azaanay Kaisay Saron Ko Dhampayn
Bazoo Bandhay Houay Hain Khoon Ro Rahi Hain Ankhain
Ankhon Kay Khoon Say Rastay, Khoon Mei Naha Rahay Hain, Kya Shaam Aagaya Hai
Itna Chalay Hain Paidal Kanton Pay Saaray Qaidi
Thak Jaathi Chalte Chalte Chalti Agar Zameen Bhi
Pairon Kay Aablay Bhi, Aansou Baha Rahay Hain, Kya Shaam Aagaya Hai
Rehan Qaidion Mei Barpa Hai Shor-e-Giriya
Palkon Say Ker Rahi Theen Matam Jo Bint-e-Zehra
Sajjad Noha Khawan Hain, Noha Suna Rahay Hain, Kya Shaam Aagaya Hai