Allah Yeh Kaisa Manzar Hai
Allah yeh Kaisa Manzar Hai, Allah yeh Kaisa Manzar Hai
Beparda shamiyon me auladey payamber hai
1) Nida dehraha hai yeh haskar manadi
Ae logon gharon se nikal aao jaldi
Sazaen do inko yeh baghi hain baghi
Bajte hain shadiyane x2 Har haath main pathar hain…
2) Kahan khof khaata hai zalim kisi se
Bulata hai ek ek ko wo naam leke
Har ek bibi chupti hai Zainab ke peeche
Khud ko chupaaye Zainab x2 Fizza ki pusht par hai
3) Batata hai shimr aake khud shamiyon ko
Ke kaata hai mene isi se saron ko
Dikhata hai lehra ke phir bibiyon ko
Haaton me us shaqi ke x2 Ek khoon bhara khanjar hai
4) Huwa hai asar itna beenayion par
Ajab kushma kush me hai Asghar ki madar
Har ek neza bardaar ke paas jakar
Ro-Ro ke puchti hai x2 Kya yeh mera Asghar hai
5) Aseeron pe kaisi musibat bani hai
Har ek bibi bazaar me dhoond ti hai
Sakina kahin bheerh me kho gayi hai
Meh-shar se pehle barpa x2 Bazaar me meh-shar hai
6) Qayamat me kaisi qayamat hai barpa
Takallum hai godi me Asghar ka laasha
Adalat me khaliq ki aati hai Zehra
Nazre juki hain sabki x2 Nabiyon ke labon par hai