aaye aaye Maula khusihyan laaye Maula
haan hamaray Maula
phoolon ka mehekna Ali Ali
taron ka chamakna Ali Ali
baadal ka garajna Ali Ali
Ali Ali Ali Ali Maula Ali Maula
Ali walo Ali walo Ali walo Ali walo
Ali walon ko Ali mubarak ho nabi ko wasi mubarak ho
Ali ke makan mein Ali ki taraf se Ali ka Ali mubarak ho
Ali badshah ke jiyaloon ke din hain
qaseede sana aur dhamalon ke din hain
koi pouchye kehna Ali arhay hain
gharon ko sajao ujaloon ke din hain
hamari khushi mein jisay mout aaye ussay khud kashi mubarak ho
wah tera Rajab aur woh kaabay ka manzar
milnay Ali se jab aaye payambar
Ali ko Mohammad ke hathon mein dekey
yeh bint-e asad ne kaha muskurakar
kkhuda ke Nabi ttmko wasii janshin aur yeh damaad bhi mubarak
koi jaake marhab se jab lad na paaya
alam leke Khyber mein ik mard aaya
mein Haider hoon Haider bas itna batakar
sir ik waar mein jab Ali ne udaya
jo marhab ke dar se chupay thay woh bolay balaa tal gayi mubarak ho
Ali hain maula hum deewany
Ali hain shama hum parwanay
Ali ke jaisa koi nahi hai
koi manay ya na manay
khuda tera inkaar kaisay karoon mein
Ali ne kaha hai to khamosh hoon mein
tu har shai pay Qadir hai mein maanta hon
magar tu bataday usay kya kahoon mein
jo thokar se murdy jila kar sada day nai zindagi mubarak ho
Ali Ali Ali Ali Ali Ali
ik arsh se tara nikla Behlol sa deewana tha
Zahra ki marzi leker ik chokhat par jana tha
jab shehr-e madinah pouncha kuch log thay jin ko dekha
woh jhoom jhoom ke ghoom ghoom ke unke dil jalataa tha
kaabay ke jaisa ik ghar jab dekha
uss ghar mein sabka Maula rehta tha
huwa phir yun koi khush tha kahin koi roya
dar-e murtaza par sitaaray ne aakar jab aawaz di mubarak ho
dulhan bhi lajawab hai dulha bhi lajawab hai
dulhan hain bi bi Fatima dulha abu turab hai
khushi se mohammad ka chehra khila tha
Ali aur Zahra ka rishta huwa tha
kahin dil ke arman bahe aansuon mein
kahin rang chehre ka badla huwa tha
yeh Imran ne jab Mohammad se aakar kaha ya nabi mubarak ho
Ali sabke Maula hain sunkr nabi se
galay mil rahay thay sab aakar Ali se
yeh hans kar abuzar se SALMAN bolay
chalo paas jaakar kahe Sheikh jee se
yahan kyun khade hain sharafat se jakar kahe Ya Ali mubarak ho
badi arzoo hai ke woh din bhi dekhen
Ali ki ho mehfil Ali ke haram mein
Najaf ki zamee par Qasida yeh sunkr
hamein daad day kar Ali khud yeh bolein
Raza aur zeeshan hamaray haram mein tumhe naukri mubarak ho