Akbar Teri Laash
Akbar teri laash uthaye kaisay Husain x4
Dil thame hue aur kham hai kamar
Beenai nahin aur zakhmi jigar
Akbar…x 2
Aey beta zaeefi hai aisi, rasha hai badan mein baba ke
Abbas nahi qasim bhi nahi, imdaad ki khatir kaun aaey
Liye bojh isi gham ka dil per
Akbar…x 2
Sadmon ki thakan ne maar diya, din bhar to uthaye hain laashey
Sab zabt ke bundhun toot gayey, beenai gayee tere gham se
Tanha hai sarey maqtal yeh pader
Akbar…x2
Aye laal teri soorat ki qasam, ab taab nahin hai is dil ko
Mai boorha padar aur tum ho jawan, kya waqt parha itna socho
Mai bekaso tanha aur muztar
Akbar…x2
Khaime mein tujhey rothi hai phupi aur zebey musalla hai madder
Atharah baras pala hai tujhey tu khud hi bata ai mere pisar
Kya beet rahi hogi dil per
Akbar…x2
Perdes mein mere noorey nazar jeete ji mujhey tu maar gaya
Nezey ki tarha yeh gham akber ham sab ke dilon se paar gaya
Roti hai teri maan yeh keh ker
Akbar…x2
Karta hoon duaen khaliq se qismat na kisi ko de yeh ghamHo samne betey ka laasha aur baap kare uska matam
Sun Le yeh dua rabbey akber
Akbar…x2
Taqdeer Kisi mader ko bhi, yeh gham na dobara dikhlaye
Beta ho shabeehey paighamber maan jeeti rahe woh mur jaaey
Mar jaegi ro ro ker mader
Akbar….x2
Jo tere kaleje mein thi sina hai zakhmi usi se dil mera
Kis tarha sina woh khainchi thi mai tujhko nahin batla sakta
Dil tukrhey huwey jata hai pisar
Akbar…x2
Jo bain kiyey sheh ne ban mein mazhar woh bayan ker sakta nahin
Seene pe pisar ke ser rakh ker yeh kehte rahe bas shahe deen
Ab zinda rahoon mai bhi kyoon ker
Akbar teri laash uthaye kaise Husain X 4