Akbar-e-Kadiyal Jawan, Akbar-e-Kadiyal Jawan
seene pe akbar ne jab zulm ki khaayi sina
har taraf chaayi hui gham ki thi tareekiyan
kehti thi sar peet kar is tarha maqtal may maa
akbar-e-kadiyal jawan….
kaise hue beta tum aankhon se meri nihaa
kaise pura shoab may maa tumhe dhoonde kahan
tum hi do awaaz ho ali akbar jahan
akbar-e-kadiyal jawan….
algharaz pahunchay wahan thokare khaate hussain
khoon may dooba hua aaya nazar noore ayn
kehke zameen par giray haaye mere dil ke chain
akbar-e-kadiyal jawan….
dekha ke seene se hai khoon ka dariya rawan
dard se noore nazar khaak pa hai neem jaan
khaynchli dil thaam ke seene se sheh ne sina
akbar-e-kadiyal jawan….
laashaye akbar na jab shahe huda se utha
rukh kiya suye najaf aaiye mushkil kusha
kaise pura shoab may dekhiye mai lut gaya
akbar-e-kadiyal jawan….
sadke ho tum par ye maa aankhein to kholo zara
sadke ho tum par ye maa moo se to bolo zara
sadke ho tum par ye maa zakhm to dholo zara
akbar-e-kadiyal jawan….