Aik Baar Aur Mujhai Goud Mei Lay Lo Baba (x2)
Baba Seenay Say Sakina Ko Lagatay Jao
Ub Kahan Hogi Mulaqaat Batatay Jao
Tum Ko Akbar Ki Qasam Ghuncha Dahan Ka Sadqa
Aik Baar Aur Mujhai Goud Mei Lay Lo Baba
Ub Na Pyaasi Houn Na Paani Ki Zaroorat Hai Mujhai
Koi Hajath Nahien Bus Itni Si Hasrath Hai Mujhai
Daikh Loon Aaj Mei Jee Bhar Kay Tumhara Chehra
Aik Baar Aur Mujhai Goud Mei Lay Lo Baba
Va Hussaina Ka Houa Shor Harem Mein Barpa
Hokay Rukhsath Jo Chalay Ghar Say Shah-e-Kerbobala
Sun Kay Yeh Dhori Sakina Kay Teher Jao Zara
Aik Baar Aur Mujhai Goud Mei Lay Lo Baba
Shah Nay Bachi Ka Jo Yeh Haal Paraishaan Daikha
Ro Kay Fermaya Kay Kya Haal Meri Mah-e-Laka
Jor Ker Nanay Say Hathon Ko Sakina Nay Kaha
Aik Baar Aur Mujhai Goud Mei Lay Lo Baba
Sochti Hoon Kay Tamachay Koi Maray Na Mere
Goshwaray Koi Kanon Say Utharay Na Mere
Vehm Aathay Hain Mere Dil Mei Na Janay Kya Kya
Aik Baar Aur Mujhai Goud Mei Lay Lo Baba
Mei Samhajthi Hoon Kay Youn He Mujhai Behelatay Ho
Tha Na Maloom Kay Mernay Kai Leeyai Jatay Ho
Tum Hamesha Kai Leeyai Hothay Ho Mujhsai Juda
Aik Baar Aur Mujhai Goud Mei Lay Lo Baba