Abid-e-Beemar Ki Aankhon Sai Khoon Rukta Nahi
Jisko Zainab Kay Liyey Parda Kaheen Milta Nahi.
Dekho Na Meyra Tamaasha Rokay Abid Nai Kaha
Saath Meyrai Aaee Hai Hokay Voh Qaidi Bay Rida
Nangay Sar Jisko Kabhi Baba Nai Bhi Dekha Nahi.
Kaisee Sehmi Hay Sakina Khoon Kanon Say Rawan
Pouchti Dikhlakay Abid, Ko Tamachon Kay Nishan
Kab Watan Main Jayenge Kohi Yahaan Apni Nahi
Zid Na Karna Tum Sakina Safar Mein Zainab Kay Saath
Pehloo Mein Sojaana Beti Jab Bhi Hojaaegi Raat
Laut Kar Aaeyga Ab Beti Tera Baba Nahi.
Saamnay Abid Kay Ban Mein Lut Gaya Zahra Ka Ghaar
Kis Tarha Zainab Ko Dekha Shaam Mein Voh Nangay Sar
Dekha Hai Kaainaat Nai Sabir Koi Eysa Nahi.
Raath Bhi Hojaaegi Jab Haaey Dasht-e-Karbala
Uska Jhool Jal Gaya Paani Bhi Usko Na Mila
Kis Tarha Sojaaon Mein Asghar Mera Soya Nahi