abbas teri behno ko bazaar may laaya jaata hai
suraj ne khule sar jisko ghar may bhi kabhi na dekha
afsos wohi shehzadi balwe may gayi wavaila
zainab ki yahan aamad par darbar sajaya jaata hai
abbas teri behno…
kis shan se teri zainab mehmil may chali thi ghar se
aur aaj safar par nikli to raah may pathar barse
be-parda nabi zadiyon ko galiyon may phiraya jaata hai
abbas teri behno…
kya tujhse kahoon ay ghazi dekhein hai yahan gham kaise
rahon may sakina teri pani ke liye gar roye
bachi ko dikha kar pani reti par bahaya jaata hai
abbas teri behno…
be-dard hai be-ghairat hai ye sham ke rehne waale
aankhon par pade hai parde aur inke zaban par taale
ye chup hai nabi zaadi ko balwe may bulaaya jaata hai
abbas teri behno…
ek lamha nahi hai aisa eeza na koi pahunchaye
thak kar wo kahin gar baithe sajjad ko neendh aa jaye
haye haye zanjeer hilakar qaidi ko jagaya jaata hai
abbas teri behno…
dohraya gaya maazi ko hai zulm wohi aur gham bhi
ummat bhi wohi chehre bhi darbar wohi aur hum bhi
kal amma jahan aayi thi ab mujhko bulaaya jaata hai
abbas teri behno…
raahon may kisi manzil par deta jo hamay koi chadar
le jaate hai phir wo chadar haakim ke sipahi aakar
ek gham may teri zainab kayi baar rulaaya jaata hai
abbas teri behno…
barsat kabhi durro ki hoti hai kahin sang baari
ay bhai bata kyun na ho jeene se mujhe be-zaari
sa’daat ko in raahon may har gaam sataya jaata hai
abbas teri behno…
ye farshe aza ye matam zainab ka karz hai hum par
dunya se kahe phir kyun na farhan aur mazhar ro kar
jo aale nabi par guri nauho may sunaya jaata hai
abbas teri behno…
1,375 Views