Abbas Tere Dar Sa Duniya Mai Dar Kahan

Sunle sadaa mere sakhi maula..(4)
Jhukte hai jaha’n shah bhi, tera wo astaa’n..(2)
Abbas tere dar sa duniya mein dar kaha’n..(2)
Maula..

1. Tu kamar e bani hashim, zehra ki tu dua hai..(2)
saaya tere alam ka, do jag pe ba khuda hai..(2)
tere alam ko choomne jhukta hai aasmaa’n
abbas tere dar sa..

2. Jo bhi khuda se maanga, tere alam se paaya..(2)
tere alam ka saaya, hai kibriya ka saaya..(2)
kyu na tere alam pe aakar kahe jahaa’n
abbas tere dar sa..

3. Tere darr ke hai bikhari, sab auliya, qalandar..(2)
sajde kare farishte, chaukhat pe teri aakar..(2)
dene lage zamee’n par qudsi bhi ye azaa’n
abbas tere dar sa..

4. Mushkil kusha ali hai, mushkil kusha hai tu bhi..(2)
wo dast e kibriya hai, rabbe wafa hai tu bhi..(2)
padhte hai ali waley yehi manqabat yaha’n
abbas tere dar sa..

5. Roze pe tere aake, ehsaas ye hua hai..(2)
ye ghar hai panjetan ka, is ghar mein hi khuda hai..(2)
sajde mein gir gaya mai dekar yehi bayaa’n
abbas tere dar sa..

6. Dardar bhatakne walo, ek baat meri maano..(2)
be dast is sakhi ke, dar par jabee’n jhukalo..(2)
be saakhta kahoge, khologe jab zabaa’n
abbas tere dar sa..

7. Farhan tere darr ka, naukar hai mere ghaazi..(2)
ek qarz ma’refat ka, mujhpe hai mere ghaazi..(2)
padhlu namaz e midhat dekar yehi azaa’n
Abbas tere dar sa duniya mein dar kaha’n..(2)

Maula, maula ghaazi
shehenshaaah, maula ghaazi
saqqa e sakina..

839 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot