Abbas Chalay Aao
Kya Chayn Se Sotay Ho Darya Ke Kanaray Par
Chor Aaye Sakina Ko Ho Kiskay Saharay Par
Dar Par Hai Khari Kab Se Lagaye Huway Woh Aas
Hai Yoon Toh Shahay Deen Ne Maqtal Ki Raza Dedi
Kis Tarha Utha Aingay Mayyat Ali Akbar Ki
Bhai Ki Zaeefi Ka Zara Kuch Karo Ehsaas
Shabbir Ki Nazron Mein Tareek Zamana Hai
Uljha Huwa Barchi Mein Akbar Ka Kaleja Hai
Hum Shaklay Nabi Ka Bhi Adoo Ne Na Kiya Paas
Khaymon Mein Rawan Har Soo Aik Aag Ka Darya Hai
Aur Pusht Pe Zainab Ki Bemar Bhateeja Hai
Aulad E Payamber Ka Adoo Ne Na Kiya Paas
Kuch Tumko Khabar Bhi Hai Kya Ye Hai Pata Tumko
Khaati Thi Tamachay Aur Deti Thi Sada Tumko
Durron Se Bhujaai Gayi Masoom Ki Jab Pyaas
Suntay Hain Ke Zainab Ke Bazu Mein Rasan Hogi
Darbar E Sitam Hoga Sar Nangay Behen Hogi
Ankhon Se Lahoo Royengay Sajjad Basad Yaas