Abbas (A.S) Jo Zinda Hai

mehfooz khaafila hai abbas jo zinda hai
abhi door karbala hai abbas jo zinda hai

is noori karwan may noori amariyan hai
noori amariyon may noori sawariyan hai
sar par alam khula hai abbas jo zinda hai
abhi door karbala hai…

na-mehramon ka majma hat hat ke hai guzarta
pehre may ba-wafa ke tay ho raha hai raasta
kya shan o dabdaba hai abbas jo zinda hai
abhi door karbala hai…

abbas jaisa bhai saalaar e karwan hai
bolay hussain mujhko phir koi gham kahan hai
har gham ki ye dawa hai abbas jo zinda hai
abhi door karbala hai…

zainab haya ki malka kulsoom aur ruqayya
laila rabab farwa kubra sakina fizza
har bibi ba rida hai abbas jo zinda hai
abhi door karbala hai…

asghar se khaylti hai khush hai bohat sakina
jab chaahti hai sona hai baba jaan ka seena
gham se na aashna hai abbas jo zinda hai
abhi door karbala hai…

2,633 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot