Abbas a.s Abbas a.s Abbas a.s
Saqe alye abba abalfazal
Tishna lab karbala abalfazal
Chashma ab baqa abalfazal ya abalfazal ya abal fazal
Karab shabbier a.s ky chehre se mitane waly
Ranj se aly Muhammad s.a.w ko jhurane waly
Tham ly hath pareshan azadaun ka
Ay sakina s.a ky lliye bazu katane waly
Hum faqerun ka tmhe man bharana hoga
Mutariz warna bht hum py zamana hoga
Har baras tm se mulaqat ko hum aty thy
Is baras tm ko hmre liye ana hoga
Toot jaye na meri aas aye umeed e haram
Mere zakhmo ka faqat aap ho ghazi marham
Arbaeen par hume bulwalen ziyarat ky liye
Apko phelu shikasta kisi bibi ki qasam
Humko duniya ka tarafdar na hone dena
Sirf batun ka azadar na hone dena
Sadqa shehzadi ruqaiya ky bande hathoun ka
Hum ko mushkil mein giriftar na hone dena
Is ghari nazrun mein ashur ki ruwadad aye
Anso ankhoun mein bhare hontun py faryad ayi
Samne pani tha ur pi bhi nahi sakhta tha
Mjh ko roze mein teri piyas bht yad ai
Tum ho shabbier a.s ki beti ka sahara ghazi
Bin tmhre na hua inkaguzara ghazi a.s
Shimar ny jab bhi sakina s.a ko tamachy maraye
Is ny baba ko nahi tum ko nahi pukara ghazi a.s
Is ghari khaema sadaat mein khuram hua
Khoon bhara jis ghari ran se tera parcham aya
Piyasi mar jaungi ab pani nahi mangungi
Tor kar koze ko masoom sakina s.a ny kaha
Tu acha hua bhae kin a gurbat dekhi
Tane deyta koi shah a.s py hansta tha koi
Apne bhai ki madad ky liye ran mein a kar
Lash zainab ny uthae hai Ali akbar a.s ki
Shah ny ro kar kaha abul fazal
Utho mere bawafa
Tanha hai bhae tera
Tanha hai bhae tera
Akhri lamhoun mein shabbier a.s bht piyase thy
Bari hasrat se soye nehar nazar karty thy
Shimar hans hans ky lagata raha tera zarbaen
Aur har war py shabbier a.s sada deyte thy
Mir sajjad bayan kaise kary wo manzar
Sham ki fouj ny jab anng lagai akar
Cheene agaye jab sar se rida zainab s.a ki
Is ghari kehti rahi sanae zehra ro kar
1,008 Views