ajao ab ajao ab ajao sakina
bano ki sada thi ke na tadpao sakina
ab mujh say judai ka alam uth na sakeyga
yun rut kay madar say na tum jao sakina
jis pyar say maa keh kay pukaro meri dilbar
amma ko na is terha say tadpao sakina
asghar ki judai ali akbar ki judai
kafi hai na tum bhi mujhay rulvao sakina
kaano say lahu bahta hai ruqsaar hai neeley
yeh shakl na abbas ko dikhlao sakina
lipta ke kalayjey se duayein meri kehna
ek nanhi si turbat jo kahin pao sakina
2,277 Views