Haye Haider Ke Janaze Pay Ajab Manzar Tha
Betiyan Qadmon Se Lipti Theen Bsd Aah O Baqa
Barh Ke Shabbir Ne Jo Chehray Se Kafan Band Kya
Dekh Kar Bhai Ke Chehray Ko Yeh Zainab Ne Kaha
Rukh Se Ik Baar Kafan Aur Hata Lo Bhiya
Mere Baba Ka Mujhe Chehra Dekha Do Bhiya
Aaj Baba Jo Mere Ghar Se Chalay Jayengay
Phir Mujhe Shamِ Gharibaan Mein Nazar Ayenge
Itnay Din Kaisay Guzarungi Batado Bhiya
Jaisay Amma Ki Rida Mein Thi Shifa Nana Ki
Kya Yeh Mumkin He Ke Aُth Jayen Mere Baba Bhi
Meri Chadar Mere Baba Ko Udha Do Bhiya
Haye Shabir Se Zainab Ne Kaha Ro Rokar
Sona Lagta He Amame Ke Bana Baba Ka Sir
Sir Pay Baba Ke Amaamh To Sajado Bhi
Kaisay Batlaon Yeh Dil Gham Se Phataa Jata He
Kya Judda Baap Se Ho Kar Bhi Jiya Jata He
Apni Behnoon Ko Faqat Itna Batado Bhiya
Aarhi Baqiya Hongi Se Sada Sun Ke Meri
Sir Pay Baba Ke Na Prhjaye Nazar Amma Ki
Zakham Amma Ki Nighaoun Se Chupalo Bhiya
Gham Mein Baba Ke Tadapta He Zara Dekho To
Daur Betha He Bُula Lao Mere Ghazi Ko
Paas Kuch Der To Baba Ke Bithado
Khoon Baba Ki Jabeen Se Woh Gira Tha Jis Pay
Apne Baba Ki Nishani Mein Bana Lungi Ussay
Mere Baba Ka Musala Mujhe Lado Bhiya
Ghar Se Jata Tha Janaza Jo Ali Ka Bahar
Betiyan Kehti Theen Zeshaan O Raza Ro Rokar
Aakhri Baar To Baba Se Milado Bhiya
868 Views