Aey Mere Baba Jaan Ho Rahi Hai Azaan

Us waqt jabkay Zainab darbar main gayi thi,

Qari namaziyoon say mehfil saji huyi thi.

Zalim yeh puchta tha ghazi tera kahan hai

Baloon say moun chupaye Zainab yeh keh rahi thi…

 

Aey mere Baba Jaan ho rahi hai azaan sar chupaoon kahan

Majmaye aam mein, bay watan bay amaan, agaya karvan

 

Mein bhi hoon marziya, Bint e Khayrun Nisa,

Mere lehjay mein hai, baba teri ada.

Naam Zainab mera, tunay jo rakh diya, day di apni zubaan.

 

Baba jaan mein rida mangti reh gayi,

Bamo dar saj gaye, jitay ji margayi,

Halqa e Shaam mein, naam sunkar mera, margaya naatawan.

 

Haath kanoon pay hai, kneel gaalon pay hai,

Aur nishan jo Sakina ki shaano pay hai

Har nishan say yehi, aa rahi hai sada, baba jaan baba jaan.

 

Shaam e ashur say, sham o kufa talak,

Mainay manga nahin hai kharaj e fadak,

Meri chadar say hai, meri maan ka sukoon, sunlay zalim jahaan.

 

Baba jaan yeh tera akhri tha bayan,

Teri chadar bachayega Ghazi jawaan.

Mar gaya bawafa, chingayi hai rida, kehti hain bibiyan.

 

Abbas, Abbas, Abbas, Abbas

Abbas, Abbas, Abbas, Abbas…

 

Ruk na paya meray bawafa ka woh sar,

Noke neza say aanay laga khaak par,

Behan ko darbadar, dekh kar nangay sar, seh na paya jawaa.

 

Haath kanoon pe hai, neel gaaloon pe hai,

Aur nishan jo Sakina ke shaano pe hai

Har nishan se yahi, aa rahi hai sada, babajaan babajaan.

 

Kal thi maan aaj mein bhi houn darbar me,

Misle Zahra khari houn main aghiyar me,

Us taraf hai shaqi, is taraf rehgayi, bepadar betiyaan.

 

Aisa khutba diya mainay darbar mein,

Likh raha hai jo Yawar tere pyaar main,

Lehjaye hayderi, har azaan ke liye, hai saday e azan.

2,346 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot