Zainab Say Pehlay Zehra Darbar Mei Gaee
‎Zainab Say Pehlay Zehra Darbar Mei Gaee

 

Umath Nay Kahan Laa Kay Khara Ker Diya Mujhai Beti Rasool Ki, Yeh Sochthi Rahi

 

Hasnain Shareefain Bhi Rothay Rahay Kharay
Darbar Mei Maa Chunthi Rahi, Sanad Kay Tukray Sub Log Has Deeyai
Zahra Ki Ghasibon Nay Thazeem Khoob Kee
Haey Baad-e-Nabi Zahra Ko Ronay Nahien Deeya
Jaltay Houay Darwazay Say Pehlu Kiya Zakhmi Umath Nay Kya Diya
Kaisee Batool Pay Haey Aaee Hai Bay Basee
Yaaraanay Mohammad Nay Hay Zahra Ko Dukh Diya
Luta Hai Musalmanon Nay Haq Aal-e-Abaa Ka Yaad Aaee Kerbala
Apnay Pidar Ko Logo Baitee Na Ro Sakee
Jibreel Bhi Jis Bibi Kay Dar Ka Khayath Hay
Mazlooma-o-Mehrooma Kay Shohar Kay Haath Mein Sub Qaeynaath Hai
Usnay Sitham Bhi Jhaylay Per Bud Dua Na Kee
Taraaj Kitnay Rozay Keeyai Zaalimeen Nay
Bint-e-Ali Kay Rozay Ko Dhaanay Kay Waastay Zaalim Jama Huay
Aal-e-Nabi Pay Hota Hai Zulm Aaj Bhi
Aati Hain Sadaaeyn Ye Baqeeya Ki Simt Say
Bas Ye Sawal Mera Musalmaan Tujh Say Hai
Batla Day Tu Mujhai
Zahra Ki Qabr Pur Kyun Saaya Nahien Koi
Haey Maiyat-e-Zahra Ko Tha Sab Nay Vida Kiya
Maa Aaounga Mei Milnay Faqat Daygi Gar Sada Shabeer Ro Diya
Band-e-Kafan Jo Toota Qainaat Ro Pari
446 Views

Scan this QR code to view these lyrics on your mobile devices.

More
Lyrics

More Nohay Lyrics Available On The APP

Screenshot